ye bala mere sar chadhi hi nahin main ne kachche ghade ki pi hi nahin aag aisi kabhi lagi hi nahin ki lagi dil ki phir bujhi hi nahin pi bhi yun jaise main ne pi hi nahin munh se mere kabhi lagi hi nahin dil na jab tak hua sharik-e-hina mehndi un ki kabhi pisi hi nahin shikan-e-zulf halqa-e-gesu bediyan bhi hain hathkadi hi nahin kaun leta balaen paikan ki aarzu koi dil mein thi hi nahin kis qadar hun bana hawa mein bhi jaise main ne sharab pi hi nahin dil mein kya aae kya chale dil se tum ne chutki to koi li hi nahin subh ka jhutputa tha sham na thi wasl ki raat raat thi hi nahin kyun sune shaikh qulqul-e-mina us ne aisi kabhi suni hi nahin aae aane ko fasl-e-gul sau bar mere dil ki kali khili hi nahin hae sabze mein wo siyah botal kabhi aisi ghata uthi hi nahin lag bhi dil se hai lagaw ke sath dushmani bhi hai dosti hi nahin munh lagana mera ek aafat tha khum mein wo chiz jaise thi hi nahin bazm-ara-e-hashr ke sadqe mahfil aisi kabhi jami hi nahin kuchh maze mein hum aa gae aise tauba pine se hum ne ki hi nahin koi na-khush 'riyaz' se kyun ho us rawish ka wo aadmi hi nahin