shama kyon aane lagi mere siyah-khane tak dur mujh sokhta-saman se hain parwane tak hamein mahrum na rakh saghar-e-mai se saqi muddaton mein kabhi aa jate hain maikhane tak husn ne bandha hai na-qabil-e-taskhir tilism apne afsun-e-nazar se mere afsane tak main to main hun dar-o-diwar bichhaen aankhen kabhi tum aa ke to dekho mere kashane tak furqat-e-gul mein jo tu garm-e-fughan hai bulbul aag lag jae na gulshan mein bahaar aane tak chashm tar hoti hai jis waqt pighalta hai dil badi mushkil se ye mai aati hai paimane tak shiddat-e-karb hai tamhid sukun ki lekin jaan par guzregi kya dil ko qarar aane tak abhi aankhon hi ko de bazm mein gardish saqi yahi paimane chhalakte rahen jam aane tak de na de sath mera gardish-e-dauran 'asif' zinda rahna hai bahar-haal qaza aane tak