yun nikalti hai dil se aah kahin

yun nikalti hai dil se aah kahin
ho na ho lad gai nigah kahin

badhti hi jati hain tamannaen
dil ko kar den na ye tabah kahin

dekh li main ne bhi jhalak un ki
chukti hai meri nigah kahin

le ke dil tu ne to churai aankh
is tarah hoti hai nibah kahin

hum se aakhir wo munh chhupane lage
chhupti hai shauq ki nigah kahin

aql ne is mein tedh paida ki
nazar aai jo sidhi rah kahin

zabt-e-girya ka ehtimam to hai
na nikal jae munh se aah kahin

tere dar par jise aman na mili
us ko milti nahin panah kahin

dil ko aankhon ne kar diya gumrah
ab ye hota hai ru barah kahin

ghair ka ishq dil-lagi thahra
hum se hota jo ye gunah kahin

kah na de un se haal-e-dil 'asif'
meri hasrat-bhari nigah kahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close