shama mein soz ki wo khu hai na parwane mein jo hai ai barq-shamail tere diwane mein lutf tha zikr-e-dil-sokhta dohrane mein soz hai saz kahan tur ke afsane mein tha jo us chashm-e-fusun-saz ke paimane mein kaif wo dhundiye ab kaun hai maikhane mein wasta dast-e-nigarin ka tujhe ai qatil ek surkhi ki kami hai mere afsane mein jo kabhi tha wahi hai aaj bhi afsana-e-ishq ek do lafz badal jate hain dohrane mein maut bhi munhasir in ki nigah-e-naz pe thi ab nahin koi kami ishq ke afsane mein wahi shai jo abhi mina mein thi ek mauj-e-nashat wahi tufan-e-tarab ban gai paimane mein qaul waiz ka baja shaikh ki talqin durust dil-e-kafir kahin aae bhi to samjhane mein qaid-e-hasti ko samajhta hai junun ki tauhin ab to kuchh hosh ke andaz hain diwane mein shukr ban jate hain aate hi zaban tak shikwe jaane kya baat hai us aankh ke sharmane mein kis tarah hazrat-e-waiz ko ye samjhaun 'rashid' rind kya dekh liya karte hain paimane mein