jhapki zara jo aankh jawani guzar gai badli ki chhanw thi idhar aai udhar gai mashshata-e-bahaar ajab gul katar gai munh-band jo kali thi khili aur sanwar gai pesh-e-jamal-e-yar kiran aaftab ki sharma ke chahti thi ki palte bikhar gai mal ke bhabhut chehre pe taron ki chhanw ka dhoni ramae dar pe ye kis ke sahar gai kya jaane aankh mar ke kya kah gai shafaq phulon ki god mauj-e-nasim aa ke bhar gai sine mein aur tab de shole ko shauq ke sajda ghalat agar na tajalli nikhar gai teri hi jalwa-zar hai duniya-e-rang-o-bu ai wae wo nazar jo hijabaat par gai ab hath malte hain ki dam-e-arz-e-majra kahne ki baat dhyan se kaisi utar gai kuchh din ki aur kashmakash-e-zist hai 'asar' achchhi buri guzarni thi jaisi guzar gai