shama raushan jism-e-fanus-e-khayali mein hai aaj ruh jun misl-e-magas makdon ki jali mein hai aaj hum nahin hargiz hubab-e-bahar-e-imkan dahr mein sane-e-kaunain shakl-e-be-misali mein hai aaj kaba-e-dil arsh hai har dam jahan rahta hun main meri pahchanat ye jism-e-la-yazali mein hai aaj nam sun kar jo koi aaya hai wo paya hamein ism-e-azam ki sifat is ism-e-ali mein hai aaj jannat-ul-firdaus mein ja kar bhala hum kya karen koi bhi us khana-e-viran-o-khali mein hai aaj hur-o-ghilman-e-bahishti yan mere ham-rah hain mulk-e-dil-abaad apne hasb-e-haali mein hai aaj nek-o-bad yaksan hai wajib main yahan imkan mein chahiye rahat to 'miskin' khush-khisali mein hai aaj