shama-ru aashiq ko apne yun jalana chahiye kuchh hansana chahiye aur kuchh rulana chahiye zindagi kyunkar kate be-shaghl is piri mein aah tum ko ab us naujawan se dil lagana chahiye is main sab raaz-e-nihan ho jaenge hum par ayan phir use ek bar ghar apne bulana chahiye phir ye mumkin hai ki mere pas tu ek dam rahe kuchh na kuchh ai yar bas tujh ko bahana chahiye go bahut hoshiyar aashiq ai pari-ru hain tere lekin un mein ek 'ghamgin' sa diwana chahiye