shams madum hai taron mein ziya hai to sahi chandni raat mein mad-mast hawa hai to sahi khwahish-e-ishq ki takmil kahan hoti hai garche wo shokh nahin shokh-numa hai to sahi aahaten jag ke tarikh ko dastak dengi aas ke sine mein ek zakhm hara hai to sahi subh ki rah mein zulmat ke sang aate hain main ne har sang ko thokar pe rakha hai to sahi han usi uqde se uljha hai takhayyul ka shuur yani uljha hua hathon mein sira hai to sahi jumbish-e-lab se mere dar pe sar aate hain phir bhi kuchh raaz fazaon mein khula hai to sahi garche main hadi-o-rahbar nahin hun 'alam' ka phir bhi hathon mein mere ek asa hai to sahi