dena hai to nigah ko aisi rasai de main dekhta hun aaina to mujhe tu dikhai de kash aisa tal-mel sukut-o-sada mein ho us ko pukarun main to usi ko sunai de ai kash is maqam pe pahuncha de us ka pyar wo kaamyab hone pe mujh ko badhai de mujrim hai soch soch gunahgar sans sans koi safai de to kahan tak safai de har aane jaane wale se baaten teri sunun ye bhik hai bahut mujhe dar ki gadai de ya ye bata ki kya hai mera maqsad-e-hayat ya zindagi ki qaid se mujh ko rihai de kuchh ehtiram apni ana ka bhi 'nur' kar yun baat baat par na kisi ki dahai de