shar ki baaton mein tamazat ka nishan ho ki na ho aag lagti hai to sine mein dhuan ho ki na ho shauq ko apne zara tez-qadam hi rakhna thamne hath kabhi baad-e-rawan ho ki na ho sail ke ghaiz se larzan hai tasawwur ka badan bahte pani ke takallum se guman ho ki na ho dil ke khane mein kashish khub mili hai raushan us ki mahfil ka saman rashk-e-jinan ho ki na ho dard-mandi ki faza hum to karenge qaem sehn-e-dil-dar liye aks-e-fughan ho ki na ho apni palkon pe chalo aaj nami kuchh bhar len shabnami husn mein tar phir se jahan ho ki na ho mujh ko maujud to har mod pe wo lagta hai chand taron ki nigarish se ayan ho ki na ho soch rahti hai aqidat se sharabor sada narm lahje mein dua wird-e-zaban ho ki na ho main to mashkuk nahin us ki wafa se 'jafar' ek mauhum ishaare mein bhi han ho ki na ho