ab 'mir'-ji to achchhe zindiq hi ban baithe peshani pe de qashqa zunnar pahan baithe aazurda dil-e-ulfat hum chupke hi behtar hain sab ro uthegi majlis jo kar ke sukhan baithe uryan phiren kab tak ai kash kahin aa kar ta gard bayaban ki baala-e-badan baithe paikan-e-khadang us ka yun sine ke udhar hai jon mar-e-siyah koi kadhe hue phan baithe juz khat ke khayal us ke kuchh kaam nahin hum ko sabzi piye hum aksar rahte hain magan baithe shamshir-e-sitam us ki ab go ka chale har-dam shorida-sar apne se hum bandh kafan baithe bas ho to idhar-udhar yun phirne na den tujh ko na-chaar tere hum ye dekhen hain chalan baithe