sharab-e-arghawan ko shaikh pahle to bura samjhe magar phir rafta rafta sehat-afza shorba samjhe nazar-bazon ko bhi dhoka hua fashion ke chhal-bal se wo aksar achchhi khasi chhokri ko chhokara samjhe ilaj-e-dard-e-dil mera kare wo chaaragar kaise jo dil gurde ko samjhe aur jigar ko phephda samjhe hazaron sal se police ki taftish jari hai hasinon ki kamar ko wo hamesha lapata samjhe hua kashmir aur punjab mein ab tak na samjhauta idhar ye kangdi mange udhar wo kangda samjhe zaban-e-yar-e-man turki wa man turki nami danam maza kahne ka jab hai ek kahe aur dusra samjhe tere aashiq tere kuche ko teri sard-mehri se kabhi kashmir samjhe to kabhi colombia samjhe na bandho gol chakkar apne sar par zulf-e-pechan ka kahin aisa na ho 'bulbul' usi ko ghonsla samjhe