uchhalta kudta hai khush dil-e-diwana hota hai nazar ke samne jab jalwa-e-jaanana hota hai meri khaslat se na-khush apna aur begana hota hai jahan main baith jata hun wahin virana hota hai mere kandhon pe rakh de saqiya dukan ko apni jahan do botalen rakh din wahi mai-khana hota hai shama kuchh phukne ke waste ghar par nahin jati fida ullu ka pattha aa ke khud parwana hota hai abe saqi nahin hai jam to la is taraf botal zara si tuntuni ko tod dun paimana hota hai janab-e-shaikh ka is waqt mein khinche koi photo ki jab botal baghal mein hath mein paimana hota hai naqab kar ke chura lete hain hum pipe sharabon ke ki jis dam band aadhi raat ko mai-khana hota hai shab-e-wada ki baaten tum jo kah dete ho ghar ja kar unhin baaton ka badhte badhte ek afsana hota hai