sharab pi aur miTa KHudi ko agar KHayal-e-sawab mein hai

sharab pi aur mita khudi ko agar khayal-e-sawab mein hai
ki zohd-o-taqwa mein wo kahan hai jo lutf shaghl-e-sharab mein hai

na ho jise hosh khud hi apna use ho kya dusron ki parwa
kisi ki wo kis kis tarah khabar le jo khud hi josh-e-sharab mein hai

agar ye dil tera aastan hai to kyon pareshan-o-sargiran hai
jo tu meri ruh mein nihan hai to ruh kyon iztirab mein hai

ye sab ajib-o-gharib shanen tere jamal-o-jalal ki hain
na koi thandak sawab mein hai na koi garmi azab mein hai

lahad ki khalwat mein chahta hun ki tere jalwon se sair ho lun
main kis tarah apni aankh kholun ki tu meri chashm-e-khwab mein hai

sukun ki us se kyon dua hai fuzul rahat ki iltija hai
wo apni aankhon se dekhta hai ki ek jahan iztirab mein hai

wo shad hain dekh kar tabahi shagufta dil hain fasurdagi se
'umar' koi to bahaar aisi hamare haal-e-kharab mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close