sharh-e-gham hae be-hisab hun main likhne baithun to ek kitab hun main meri barbaadiyon pe mat jao un nigahon ka intikhab hun main khwab tha ya shabab tha mera do sawalon ka ek jawab hun main madrasa mera meri zat mein hai khud moallim hun khud kitab hun main ji raha hun is aab-o-tab ke sath kaise aasuda-e-shabab hun main