rang alfaz ka alfaz se gahra chahun baat karne ke liye apna hi lahja chahun hai thakan aisi mera par utarna hai muhaal tishnagi wo hai ki bahta hua dariya chahun kam-nazar hai jo kare teri sataish mahdud tu wo shahkar hai main jis ko sarapa chahun tujh pe raushan mere haalat ki zanjiren hain rok lena jo kabhi tujh se bichhadna chahun muflisi lakh sahi daulat-e-nayab hai ye main tere gham ke ewaz kyun gham-e-duniya chahun gham hai sannaton mein qadmon ke nishan tak 'rashid' wo andhera hai ki diwaron se rasta chahun