sharh-e-jaan-sozi-e-gham-e-arz-e-wafa kya karte tum bhi ek jhuti tasalli ke siwa kya karte shisha nazuk tha zara chot lagi tut gaya hadse hote hi rahte hain gila kya karte raat ne chhed diye bhule hue afsane jag kar subh na karte to bhala kya karte apni kashti ko bhi mil jata kinara shayad tund thi mauj mukhalif thi hawa kya karte jazba-e-shauq ko izhaar ki fursat na mili lafz-o-mani ka fusun tut gaya kya karte dil ko wo dard mila jis ka mudawa na ilaj mere monis mere gham-khwar bhala kya karte thi na kya kya hawas-e-sair-o-tamasha 'taban' raste panw ki zanjiren bana kya karte