na sirf ye ki zamane ka Dhab dikhai de

na sirf ye ki zamane ka dhab dikhai de
ghazal to wo hai ki andar ka sab dikhai de

badan ki us ke kasawat hi kya qayamat hai
kisi libas mein dekho ghazab dikhai de

main apni id mana lun mujhe kisi se kya
na jaane phir wo mera chand kab dikhai de

main us ko dekhun kuchh aisa ki dekh bhi na sakun
wo apne aap mein chhup jae jab dikhai de

koi batae sahar ko kahan talash karun
jab aasman bhi bairun-e-shab dikhai de

'shakil' husn-e-talab ka moamla hai wahan
wo kaamyab hai jo be-talab dikhai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close