sharh-e-jamal kije shahadat ke ma-siwa husn-e-azal ki baat riwayat ke ma-siwa rag rag mein daudti thi bahaaron ki tazgi ab kuchh nahin lahu mein hararat ke ma-siwa mani mein dhaal dijiye ek ek harf ko kije magar kalam ibarat ke ma-siwa milta nahin jahan mein rang aastan ka matam hai karbala mein shahadat ke ma-siwa bas ek qayam did pe hai ijtima-e-kul mumkin nahin hai hashr qayamat ke ma-siwa uthta nahin hai panw 'samad' aabla baghair lab pe nahin hai harf sadaqat ke ma-siwa