kufr se matlab hai na islam se hai gharaz mashuq-e-khush-andam se hai gharaz khum se subu se jam se kaam hai hum ko mai-e-gulfam se dafn kar ke hae kahta hai koi qabr mein ab so raho aaram se qaf-o-lam-o-qaf hai har dam hamein khush adu hai waw sad-o-lam se kya gharaz aaen ayaadat ko wo kyun un ko kab fursat hai apne kaam se hazrat-e-adam jo nikle khuld se hum bhi nikle kucha-e-asnam se chashm-e-jaanan ki ghalat tashbih hai is ko kuchh nisbat nahin baadam se jo halawat is mein hai us mein kahan qand phika hai teri dushnam se jaen hum kahiye to ai 'sabir' kahan wasta hai ek but-e-khud-kaam se