sharik-e-mahfil-e-dar-o-rasan kuchh aur bhi hain sitamgaro abhi ahl-e-kafan kuchh aur bhi hain rawan-dawan yunhi ai nannhi bundiyon ke abr ki is dayar mein ujde chaman kuchh aur bhi hain khuda kare na thaken hashr tak junun ke panw abhi manazil-e-ranj-o-mehan kuchh aur bhi hain abhi sumum ne mani kahan nasim se haar abhi to marka-ha-e-chaman kuchh aur bhi hain abhi to hain dil-e-shair hain saikdon nasur abhi to moajiza-ha-e-sukhan kuchh aur bhi hain dil-e-gudaz ne aankhon ko de diye aansu ye jaante hue gham ke chalan kuchh aur bhi hain