nikhat-e-zulf ko ham-rishta-e-jaan kahta hun hosh aata hai to khwab-e-guzaran kahta hun dard ko daulat-e-sahab-nazaran kahta hun gham ko sarmaya-e-isa-nafasan kahta hun koi samjhe ki na samjhe magar ai sham-e-haram main tujhe shola-e-rukhsar-e-butan kahta hun qatra dariya hai to kyun shorish-e-dariya-talabi har tamanna ko mohabbat ka ziyan kahta hun hai wo aawaz-e-shikast-e-dil-e-giti jis ko jaras-e-qafila-e-umr-e-rawan kahta hun tohmat-e-sabza-e-begana hai sang-e-bedad main to kanton ko bhi phulon ki zaban kahta hun kaun samjhega mere husn-e-yaqin ka aalam arsh o tuba ko hijabaat-e-guman kahta hun banda-e-khak-nashinan-e-mohabbat hun 'rawish' khak ko masnad-e-ashufta-saran kahta hun