sharik-e-rasm-e-girya hain samundar-ashna aankhen jahan-e-arzu mein kar na den mahshar bapa aankhen ye patthar ki na ho jaen kahin aqlim-e-hasti mein rakhe mahfuz aashob-e-tamanna se khuda aankhen tumhaare wada-e-shab ka yaqin aata nahin un ko rahin-e-fitna-e-gham hain sukun na-ashna aankhen hisar-e-dasht-e-wahshat mein bagulon ke ishaaron par hatheli par liye phirti hai muddat se hawa aankhen fasil-e-shahr-e-tariki se jaane kab rihai ho asir-e-qariya-e-shab hain meri simab-pa aankhen tumhaari shan-e-yaktai hai aalam dil-farebi ka wagarna dekhti hain yun pas-e-manzar mein kya aankhen harim-e-naz mein tera na gar jalwa dikhai de to behtar hai rah-e-ulfat mein ho jaen fana aankhen hui muddat nigahon se chhua tha marmarin chehra tilism-e-khwab se ab tak na ho pain riha aankhen 'muzaffar' zindagi mein farz to ek bar tha lekin tawaf-e-kaba-e-dil kar chuki hain barha aankhen