sharik-e-soz-e-darun jab se ho gae alfaz nawa-e-dard mein shoale piro gae alfaz suna ke dastan dil-doz wardaton ki na jaane kitnon ke daman bhigo gae alfaz kabhi kabhi to kuchh aisa bhi ittifaq hua tadap ke jag uthe arman to so gae alfaz mili na jab unhen iblagh ki tawanai to aap apne muqaddar ko ro gae alfaz uthe to sare zamane ki ban gae aawaz dabe to aabru apni dubo gae alfaz khatib-e-shahr ne ki baat dosti ki magar dilon mein tukhm adawat ke bo gae alfaz ghazal-sarai-e-'mansha' pe yun hua mahsus ki jaise ruh ke andar samo gae alfaz