saqi bhale phatakne na de pas jam ke niyyat to bandh sakte hain pichhe imam ke qadmon mein den jagah hamein ahl-e-karam kahin hum randgan hain sajda-gah-e-khas-o-am ke aankhon ki baat chhid gai baaton ke darmiyan mai-khane wale rah gae paimane tham ke waiz ko unch-nich mohabbat ki kya pata ye masale nahin ulama-e-kiram ke kya khub wahi pir-e-kharabaat ko hui jhagde hain sab haram halal-o-haram ke do-chaar ashk haal pe mere bahaiye shabnam gire labon pe kisi tishna-kaam ke aata na ho baraat sitaron ki le ke chand rukhsar surkh kyun hue jate hain sham ke insan hain farishta-o-iblis hum nahin qail nahin ruku-o-sujud-o-qayam ke ahl-e-zamana un se na bandhen tawaqquat ushshaq aadmi hain hasinon ke kaam ke shahr-e-butan mein hain jo dar-e-mai-kada pe dafn pahunche hue buzurg the 'rahil' nam ke