sharma gae laja gae daman chhuda gae ai ishq marhaba wo yahan tak to aa gae dil par hazar tarah ke auham chha gae ye tum ne kya kiya meri duniya mein aa gae sab kuchh luta ke rah-e-mohabbat mein ahl-e-dil khush hain ki jaise daulat-e-kaunain pa gae sehn-e-chaman ko apni bahaaron pe naz tha wo aa gae to sari bahaaron pe chha gae aql o junun mein sab ki thin rahen juda juda hir-phir ke lekin ek hi manzil pe aa gae ab kya karun main fitrat-e-nakaam-e-ishq ko jitne the hadsat mujhe ras aa gae