sukut-e-khauf yahan ku-ba-ku pukarta hai na us ki tegh na mera lahu pukarta hai main apni khoi hui lauh ki talash mein hun koi tilism mujhe chaar-su pukarta hai wo mujh mein bolne wala to chup hai barson se ye kaun hai jo tere ru-ba-ru pukarta hai nida-e-koh bahut khinchti hai apni taraf mere hi lahje mein wo hila-ju pukarta hai hamara ahd hai be-barg-o-bar shakhon se agarche qafila-e-rang-o-bu pukarta hai ki jaise main sar-e-dariya ghira hun nezon mein ki jaise khema-e-sahra se tu pukarta hai