sharmili chhui-mui ajab mohni si thi naddi ye ganw mein thi to kitni bhali si thi sahra bhi tha udas samundar bhi tha khamosh lekin wahi junun wahi diwangi si thi pani ke intizar mein khali ghade ke pas kuchh shokh shokh rang the kuchh dilkashi si thi sukhi hui nadi ko samundar ki thi talash is khwahish-e-fuzul mein kya sadgi si thi honton se gir rahe the wafaon ke aabshaar lekin dilon mein gard-e-kudurat jami si thi dariya-e-gham mein shahr ka har fard gharq tha sahil ke aas-pas faza matami si thi us shakhs se 'shamim' ka rishta ajib tha kuchh dushmani ka rang tha kuchh dosti si thi