har naqsh-e-nawa laut ke jaane ke liye tha jo bhul chuka hun wo bhulane ke liye tha kuchh bhed zamane ke bhi mujh par na khule the kuchh main bhi riya-kar zamane ke liye tha kuchh main ne bhi be-wajh hansi us ki udai kuchh wo bhi meri jaan jalane ke liye tha kuchh log jaziron pe khade the so khade hain sailab safinon ko bahane ke liye tha pyasa jo na hota to samundar se na milta dariya jo meri pyas bujhane ke liye tha girni hi thi ek roz ye diwar badan ki ye rah ka patthar bhi hatane ke liye tha sab meri udasi mein tujhe dhund rahe the hansna bhi mera tujh ko chhupane ke liye tha ek lahr ki bas khak udane pe ba-zid thi ek rang ki palkon mein sajaane ke liye tha ek lamha-e-khali ki sada sab ne suni thi ek shor khamoshi ko badhane ke liye tha khira hain nigahen to na kuchh dekh sakengi manzar jo yahan tha nazar aane ke liye tha aap-apni jasarat se tah-e-ab hua hai wo dubne wale ko bachane ke liye tha