sharminda-e-nigah-e-karam ho ke rah gaya shikwa zaban pe shukr-e-sitam ho ke rah gaya he he wo shauq aap ke mushtaq-e-did ka jo dil mein tis aankh mein nam ho ke rah gaya anjam apne soz ka ai be-khabar na puchh ek tir tha ki sine mein dam ho ke rah gaya hasrat pe kyon na roiye maqtul-e-ishq ki do-chaar roz aap ko gham ho ke rah gaya tum ko to ek ye ki na aae magar yahan shauq-e-visal hijr ka gham ho ke rah gaya tum ne kiya na qatl mujhe ek roz bhi ye shauq dil mein tegh-e-sitam ho ke rah gaya 'maikash' ye na-tamami-e-tasir-e-gham to dekh yani kisi ko shauq-e-sitam ho ke rah gaya