shab-e-furqat ki tariki mein shamil hai ghubar apna isi sahra mein khoya ishq ne ahd-e-bahaar apna mita gulshan to uth kar khak-e-gul se hum kahan jate jahan gulshan tha pahle ab wahin par hai mazar apna tere jalwon mein gum hon ya teri furqat mein mit jaen ye hum samjhe hue hain hai fana anjam-e-kar apna hujum-e-yas mein beganagi ka shikwa kis se ho na hum apne na dil apna na jaan apni na bar apna kahan ab wo surur-e-daur-e-awwal bazm-e-hasti mein jise kahte hain duniya hai wo ai 'maikash' khumar apna