sharminda unhen aur bhi ai mere KHuda kar

sharminda unhen aur bhi ai mere khuda kar
dastar jinhen di hai unhen sar bhi ata kar

luta hai sada jis ne hamein dost bana kar
hum khush hain usi shakhs se phir hath mila kar

dar hai ki na le jae wo hum ko bhi chura kar
hum lae hain ghar mein jise mehman bana kar

ek mauj dabe panw taaqub mein chali aai
hum khush the bahut ret ki diwar bana kar

hum chahen ki mil jaen hamein dher se moti
sidhi kisi pur-haul samundar mein laga kar

darkar ujala hai magar sahme hue hain
kar de na andhera koi barud jala kar

le is ne tera kasa-e-jaan tod hi dala
ja kucha-e-qatil mein 'qatil' aur sada kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close