na bulbul mein na parwane mein dekha jo sauda apne diwane mein dekha barabar us ki zulfon ke siyah-bakht main apne bakht ko shane mein dekha kisi hindu musalman ne khuda ko na kabe mein na but-khane mein dekha na kohistan mein dekha kohkan ne na kuchh majnun ne virane mein dekha na askandar ne dekha aaine mein na jam ne apne paimane mein dekha par us ki kunh ko koi na pahuncha jise dekha so afsane mein dekha faqiron se suna hai hum ne 'hatim' maza jine ka mar jaane mein dekha