sharten jo bandagi mein lagana rawa hua ai waizon namaz na thahri jua hua ubhra jo ru-siyah tunuk-zarf kya hua had se siwa jo khal hua wo masa hua puchho na ku-e-yar-e-adam ki musafiro dharra hai su-e-gor-e-gariban laga hua sukha hawa-e-gham se jo kuchh tazgi hui main wo shajar hun khushk hua jab hara hua sani muhaal hai sanam-e-la-jawab ka paida koi khuda ka nahin dusra hua misl-e-habab dam mein fana ho jo aadmi pani ka bulbula na hua aur kya hua wo dil-jala hun jis mein meri khak mil gai jo nakhl is zamin pe hua aag ka hua nakhun-kharashiyon se jarahat jo badh chale nasur aur zakhm-e-kuhan mein siwa hua hanste to gul-rukhon se hain misl-e-dahan-e-zakhm lekin hai aable ki tarah dil dukha hua sakit zaban ho gai ai 'shad' marte dam kya band andalib mera bolta hua