suna hum ko aate jo andar se bahar

suna hum ko aate jo andar se bahar
phire ulte pairon bahar se bahar

kadi mein na de sath yar-e-dili tak
sharar chot kha kar ho patthar se bahar

yunhi kal-adam hum miyan-e-lahad the
mitaya nishan us pe thokar se bahar

na kar harza-gardi jo zi-abru hai
nikalta nahin aaina ghar se bahar

jinan se hui muddat aadam ko nikle
watan se hun main zindagi-bhar se bahar

wo mahrum-e-daulat hun bargashta qismat
ude khak ghar mein jo hu barse bahar

mite gardish-e-bakht kya lagharon ki
na ho kah-e-girdab chakkar se bahar

ladate jo ho 'shad' se ghar mein aankhen
nazar dalo hum par bhi tewar se bahar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close