sharton pe apni khelne wale to hain wahi mohre safed ghar mein bhi kale to hain wahi shakhon pe sanp hain to shikari hain tak mein sahme parinde un ke niwale to hain wahi pahchanne mein hum ko takalluf hua unhen haalanki apne jaanne wale to hain wahi waris badal gae ki wasiyat badal gai lekin gawah aur qabaale to hain wahi ab un pe ungliyon ke nishanat aur hain har-chand apne qatl ke aale to hain wahi khilwad kar rahe the jo hum se wo khul gae ye aur baat hile hawale to hain wahi sari hayat jin ki andhere mein kat gai andher hai ki 'khair' jiyale to hain wahi