zamir-o-zehan se ki hain baghawaten kya kya munafiqon se nibhain rifaqaten kya kya hayat arsa-e-karb-o-bala mein guzri hai tamam-umr hui hain shahadaten kya kya kisi se pyar kisi se wafa kisi se khulus bigad gai hain hamari bhi aadaten kya kya ye jabr hai ki gharaz se gharaz badalte hain hamein aziz thin warna sharafaten kya kya mizaj-e-waqt ne chhina hai mujh se mera mizaj guzarti rahti hain dil par qayamaten kya kya saba pe harf na aae kiran ka dil na dukhe shagufta gul ke liye hain nazakaten kya kya ye aur baat samajhne se hum hain qasir 'lais' jabin-e-waqt par dekhin ibaraten kya kya