shauq barhana-pa chalta tha aur raste pathrile the ghiste ghiste ghis gae aakhir kankar jo nokile the khar-e-chaman the shabnam shabnam phul bhi sare gile the shakh se tut ke girne wale patte phir bhi pile the sard hawaon se to the sahil ke ret ke yarane lu ke thapede sahne wale sahraon ke tile the tabinda taron ka tohfa subh ki khidmat mein pahuncha raat ne chand ki nazr kiye jo tare kam chamkile the sare sapere viranon mein ghum rahe hain bin liye aabaadi mein rahne wale sanp bade zahrile the tum yun hi naraaz hue ho warna mai-khane ka pata hum ne har us shakhs se puchha jis ke nain nashile the kaun ghulam mohammad 'qasir' bechaare se karta baat ye chaalakon ki basti thi aur hazrat sharmile the