is darja bad-guman hain khulus-e-bashar se hum apnon ko dekhte hain parai nazar se hum ghunchon se pyar kar ke ye izzat hamein mili chume qadam bahaar ne guzre jidhar se hum wallah tujh se tark-e-talluq ke baad bhi aksar guzar gae hain teri rah-guzar se hum sidq-o-safa-e-qalb se mahrum hai hayat karte hain bandagi bhi jahannam ke dar se hum uqba mein bhi milegi yahi zindagi 'shakil' mar kar na chhut paenge is dard-e-sar se hum