shauq-e-didar mera aur bhi afza na karen mehrban samne aaen zara parda na karen wo to kuchh ho hi gai tum se mohabbat warna hum wo khud-sar hain ki apni bhi tamanna na karen phir na ho jaen kahin dil mein tamannaen jawan ghaur se itna hamein aap to dekha na karen aap ke tarz-e-inayat se samajh jaenge barsar-e-bazm hamein aap yun ruswa na karen hurmat-e-ishq salamat rahe dekhen apne jazba-e-dil ka kisi haal mein sauda na karen hum bhi bah jaen na jazbaat ke dhaare mein kahin husn ko apne kisi taur huwaida na karen tut bhi sakte hain 'zaryab' ye nazuk rishte samne us ke kabhi shikwa-e-beja na karen