rahoge humse kab tak be-KHabar se

rahoge hum se kab tak be-khabar se
juda hoti nahin diwar dar se

musafir haal kya apna sunae
abhi lauta nahin apne safar se

hamesha to nahin rahta hai qaem
talluq rah-rau ka rahguzar se

makanon se makin rukhsat hue hain
udasi jhankti hai baam-o-dar se

abhi tak hun safar mein irtiqa ke
mujhe lagte the raste mukhtasar se

isi mitti se hai pahchan meri
mohabbat hai mujhe bhi apne ghar se

na jaane un pe kya guzri thi 'shahid'
juda patte hue the jab shajar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close