shauq-e-izhaar hai karna bhi nahin chahte hain

shauq-e-izhaar hai karna bhi nahin chahte hain
apne wade se mukarna bhi nahin chahte hain

koi to hai mujhe jine ki dua deta hai
hum tere ishq mein marna bhi nahin chahte hain

tujh se milne ki tamanna bhi bahut hai dil mein
tere kuche se guzarna bhi nahin chahte hain

dil ye kahta hai simat jaen teri banhon mein
bu-e-gul ban ke bikharna bhi nahin chahte hain

jhankte hain meri aankhon mein bacha kar nazren
go ba-zahir wo sanwarna bhi nahin chahte hain

de ke aawaz koi rok raha kab se
aur hum hain ki thaharna bhi nahin chahte hain

log sahil pe khade dhundh rahe hain moti
bahte pani mein utarna bhi nahin chahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close