taron ki utarti hai doli aur chandni dulhan hoti hai jis raat mein do dil milte hain wo raat suhagan hoti hai jab dil se dil mil jate hain to kya kya gul khil jate hain kuchh ghair gale lag jate hain kuchh apnon se an-ban hoti hai jalte hain jahan wale lo jalen hum rah-e-wafa mein sath chalen duniya ko chhodo duniya to dil walon ki dushman hoti hai surat meri aankhon mein dekho kya dekh rahe ho aaina jis aankh mein koi bas jae wo aankh bhi darpan hoti hai bas un ke liye hi raat aur din dil mera dhadakta hai lekin jab samne wo aa jate hain tez aur bhi dhadkan hoti hai tum bin ye bahaaron ka mausam lagta hai mujhe patjhad ki tarah tum sath raho to har ek rut mere liye sawan hoti hai taswir ho teri jab dil mein gham dil ke qarib aae kaise main yaad tujhe kar leta hun jab koi bhi uljhan hui hai nikhre to bane ek taj-mahal phaile to khushbu aur ghazal lekin jo simatti hai chahat mahbub ka daman hoti hai