shauq-e-khwabida wo bedar bhi kar deta hai hawas-e-zist se sarshaar bhi kar deta hai husn-e-be-dagh ki bas ek jhalak dikhla kar waqif-e-lazzat-e-takrar bhi kar deta hai pahle wo dalta hai aag ke dariyaon mein phir usi aag ko gulzar bhi kar deta hai raat bhar karta hai wo din ke nikalne ki dua subh-dam raushni mismar bhi kar deta hai qissa-e-afw-o-guzarish ke tasalsul ke liye be-khataon ko khata-kar bhi kar deta hai khud hi rakhta hai diye tez hawa ki zad par aur aandhi se khabar-dar bhi kar deta hai kabhi sikhlata hai wo sulh-o-safai ke hunar kabhi khud barsar-e-paikar bhi kar deta hai kabhi karta hai nichhawar meri rahon mein phul waqt mil jae to pur-khar bhi kar deta hai inkisari ke sabhi raaz bata kar mujh ko yak-ba-yak mail-e-pindar bhi kar deta hai pahle karta hai wo aamada gunahon pe 'farid' phir us ek baat ka izhaar bhi kar deta hai