jo raazdar the pahle wo dushman-e-jaan hain

jo raazdar the pahle wo dushman-e-jaan hain
magar jo dushman-e-jaan the wo raazdar hue

gunah khud hi kiya khud ko phir saza de li
hum apne hathon kai bar sangsar hue

kabhi fasana suna kar bhi aankh nam na hui
tumhaare zikr pe hi aaj ashk-bar hue

har ek chiz ki is daur mein sifat badli
pahad shahr bane shahr kohsar hue

wo paude jin ke sarape bade mulaem the
hamare dekhte lamhon mein khar-dar hue

gareban jin pe bharosa tha hum faqiron ko
junun ki aanch se pal-bhar mein tar tar hue

badhaen un ki taraf dast-e-dosti kyun-kar
jo gul-sifat the kabhi 'fakhr' ab wo khar hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close