shauq-e-warafta chala shahr-e-tamasha ki taraf badh gae hum bhi hisar-e-husn-e-laila ki taraf hum se maujen kah rahi thin aa meri aaghosh mein hum kahan yun ja rahe the mauj-e-dariya ki taraf is qadar dube gunah-e-ishq mein tere habib sochte hain jaenge kis munh se tauba ki taraf kya zaruri hai ki hirs-e-jalwa-e-sad-rang mein har nazar bhatke kisi bhi husn-ara ki taraf aayat-e-husn-o-mohabbat se hai bas do hi murad ek hai meri taraf ek mah-para ki taraf shahr-e-dil virana kardam pa-ba-jaulan mi-kuni ji khincha jata hai apna ab to sahra ki taraf sari duniya dushman-e-jaan ban gai hai ai 'siraj' koi patthar bhi na aaya tere shaida ki taraf