tamam husn-e-jahan ka jawab ho ke raha jo dard dil se utha aaftab ho ke raha wo bargah-e-junun hai nasib-e-ishq-e-wafa ye dil ye shauq nazar-baryab ho ke raha wahi safar hai wahi rasm-e-abla-pai yaqin-e-rah mera kaamyab ho ke raha bahut aziz na kyun ho ki dard hai tera ye dard badh ke raha iztirab ho ke raha ajib chiz hai ye shauq-e-arzu-mandi hayat mit ke rahi dil kharab ho ke raha