shauq jab jurat-e-izhaar se dar jaega lafz khud apna gala ghunt ke mar jaega tez-raftar hawaon ko ye ehsas kahan shakh se tutega patta to kidhar jaega ye chamakta hua suraj bhi meri sham ke baad raat ke gahre samundar mein utar jaega sirf ek ghar ko dubona hi nahin kaam is ka ab ye sailab kisi aur ke ghar jaega hain har ek samt yahi log yahi duniya hai in se bach ke koi jae to kidhar jaega kaam itna to karega ye ubalta hua khun sare manzar mein mera rang to bhar jaega