wahshat mein nikal aaya hun idrak se aage ab dhundh mujhe majma-e-ushshaq se aage ek surkh samundar mein tera zikr bahut hai ai shakhs guzar dida-e-namnak se aage us par se aata koi dekhun to ye puchhun aflak se pichhe hun ki aflak se aage dam tod na de ab kahin khwahish ki hawa bhi ye khak to udti nahin khashak se aage jo naqsh ubhaare the mitae bhi hain us ne darpesh phir ek chaak hai is chaak se aage aaine ko toda hai to malum hua hai guzra hun kisi dasht-e-khatarnak se aage ham-zad ki surat hai mere yar ki surat main kaise nikal sakta hun chaalak se aage