shauq ke shahr-e-tamanna ke thikane guzre raat phir zehn se kuchh khwab purane guzre chand jab jhil mein utra to manazir ki tarah mujh ko chhukar tere bazu tere shane guzre jaane kis shakhs ke bare mein pareshan ho tum ab hamein khud ko bhulate bhi zamane guzre hum to har mod bichha aae the daman apna jaane kis rah bahaaron ke khazane guzre bujhne lagta hai kisi shama ke manind wajud jab teri yaad hawaon ke bahane guzre manzar-e-shauq wahi hai to safar kaisa tha hum guzar aae ki 'jamshed' zamane guzre